GSM Shop GSM Shop
GSM-Forum  

Welcome to the GSM-Forum forums.

You are currently viewing our boards as a guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features.
Only registered members may post questions, contact other members or search our database of over 8 million posts.

Registration is fast, simple and absolutely free so please - Click to REGISTER!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact contact us .

Go Back   GSM-Forum > Non GSM/Mobile Related Forums > Off Topic Zone


Off Topic Zone Here all other messages...

Closed Thread
 
LinkBack Thread Tools Display Modes
Old 08-06-2009, 17:08   #1 (permalink)
No Life Poster
 
.::skybird::.'s Avatar
 
Join Date: Sep 2007
Location: Chinese Section
Age: 37
Posts: 830
Member: 594884
Status: Offline
Thanks Meter: 1,553
~~* Shab-E-Barat Ki Haqeeqat *~~


Bismillah Al-Rahman Al-Raheem

Asslamo Alaikum Wa Rahamatullah Wa Barakatuhu..!!
Shab-e-Barat .. Aur Uski Haqeeqat...!!

Is Month Main 15th Shab Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai ...!! Ulma-e-Soo Is Raat Ke Liye Shab-e-Qadr Jaisi Fazilate Bayan Karte Hain... Yeh Aqeeda Rakha Jata Hai Ke Is Raat Poore Saal Main Hone Wale Waqkhyat Ka Faisla Kiya Jata Hai ... Is Raat Infiradi Wa Ijtimayee Ibadato Ka Ahtmam Kiya Jata Hai ... Atish baziya Ki Jati Hain... Masjido Main Chiragha Kiya Jata Hai ... Bewa Aurte Ye Samajhti Hain Ke Unke Shoharo Ki Roohe Is Raat Aati Hain Isliye Behtreen Qism Ke Pakwan Tayyar Karke Unka INtezar Karti hain ..!!

Shab-E-Barat Ki Fazilat main Quran Ki Yeh Ayat Paish Ki jati Hai ..... " Hamne Is (Quran) Ko Mubarak Raat Main ****l Farmaya , Hum Logo Ko Darane Wale Hain " ( Al-Dukhhan Ayat No.3)
In Ka Yeh Qoul Sarasar Ghalat Wa Bebuniyad Hai Jiski Daleel Yeh Hai ke ***** RabbulAlaameen Ne Is Ayat Main Jis Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hai Woh Ramadan Ki Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat... Kyonki Yeh Baat Har Musalman Janta Hai Ke Quran Kareem Ka nazool Maha Ramadan main Hua Hai Na Ke Shahban Ke Mahine Main Irshad-e-Rabbani Hai " Ramadan To Woh mahina Hai Jisme Quran Majeed ****l Kiya Gaya " ( Al-Baqra .. Ayat no. 185) Doosri Jagah RabbulAalaameen Irshad Farmata Hai
" Humne Is (Quran Kareem) Ko Shab-E-Qadr Main ****l Farmaya Tumhe KYa Malum ke Shab-E-Qadr Kya Hai, Shab-E-Qadr Main ek Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Se Behtar Hai " ( Al-Qadr..Ayat no.1-3)

In Ayato Se malum Hua Ke Surah Dukkhan Ki Ayat no. 3 Main Jis Mubarak Raat Ki Taraf Ishara Kiya Gaya Hai Usse Murad Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat..!!

Shahban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Main Jo Bhi Hadeese Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Hain ... Isi Tarhan Is Raat Ki Ibadato ke silsile Main Jo Bhi hadees bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo (unAuthentic) Hain..!!

Ek Hadees Hai Jo 15wi Shab Ke Liye Bayan Ki Jati Hai " Rasool ***** SAW ne Farmaya Ke ***** SWT 15wi Shahban Ki Raat Ko Matlah Hokar Mushriq Wa Keena Parwar Ke Siwa Poori Makhlooq Ko Maaf Kar Deta Hai " ( Ibn Ma'aja Silsila Saheeh 1652)
Lekin Is Hadees main Is Raat Ke Liye Makhsoos Ibadat Karne Ki Na Koee Dalee Hai Aur hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hai .. Aur Jahan Tak Logo Ki Maghfirat Ki Baat Hai Tu Yeh Sirf isi Raat Ke Sath Khas Nahin Hai Balke Yeh To Har Din Hota Hai .. Jaisa Ke Saheeh Hadees Se Sabit Hai Ke ***** SWT Har Din Akhri Raat Ke Pehar main Sama Dunia Per Aata Hai AUr Yeh Ailan Karta Hai Ke : Kon Hai Jo Mujhe PUkare Phir Main Uski Dua Ko Qabool Karon, Kaun Hai Jo Mujhse Sawal kare AUr Main Use Doo, Kaun Hai Jo Mujh Se Maghfirat Talab Kare AUr Phir Main uski Maghfirat Kardon " Isse Malum Hua Ke Gunaho Ki Maghfirat Ka Kaam hamesha Hota Rehta HaiYeh Sirf Shab-e-Barat Ke Sath Khas Nahin...!!

Haqeeqat yeh Hai Ke Shab-E-Barat Ka Islam Se Koee Taulluq Nahin Hai Ise Ijad Karne Wale Raafdi Hain ..!!
Ab Koee Yeh Kahe Ke Hum Is Raat Ibadat Hi To karte Hain To Isme Burayee Kya Hai .. Burayee Ibadat Main Har Giz nahin Hai Burayee Hai is Baat Main Ke Jo Baat Rasool SAW ne Nahin Batayee Woh Hum Kaise Kar SakTe Hain ? Ek Insan Agar Asr Ke 4 Farzo Ki jagah 5 Parhne Lage To Kya WOh Sahee HOga? Hargiz Nahin Jabke Woh Ek Rakat Namaz Hi ZYada parh Raha Hai Per Rasool ***** SAW ne 4 Bataye Hain To Hum Usse Zyada Ya kam Nahin Kar Sakte... Isi Tarhan Ibadat ***** SWt ke Yahan WOh Qabool Hogi Jiske Karne Ka Hukum Rasool SAW Ne Diya Hai ... Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat Kisi Bhi Sahee Ahdees Se Sabit Nahin.... Zara Sochiye Ke Agar Yeh Itni Fazilat Wali Raat Hoti To KYa Sahaba Kiram Is Raat Ko Ibadat Na Karte? Koee Ek Bhi Wakhiya Sahaba KIram Se Sabit Nahin Ke Un Logo Ne Is Raat Ko Khas Ibadat Ki Ho ... Jo Khas Ibadat Ki Raat Hai WOh To Ramadan Ki Shab-e-Qadr Hai Usme Jitni Chahe Ibadat Karein...!!

Ek Baat Yaad Rakhein Ke ***** SWT Us Ibadat Ko Qabool Karta Hai Jisme Niyat Khalis ***** Ki Raza Ki Ho AUr Tareeqa Khalis Rasool ***** Sall*****u Alaiwasallam Ka Ho ..!!

Ek Baat Aur Ki Jati Hai 15 Tareeq Ko Ke Log Halwa Banate Hain Bant Te Hain Apas Main AUr Bht Sawab Samajhte Hain... Iski Haqeeqat Kya Hai Yeh BHi Dekhlein..!!
Halwa Banane Wale iski Daleel Yeh Dete Hain Ke Ghazwa-e-Ohud Main Rasool SAW ke Dandane Mubarak Shaheed Hue The Takleef Ki Wajah Se Aap SAW khana Khane se Qasir The.. Isliye Rasool SAW Ne Halwa Naush Farmaya Tha Aap SAW ki Is Sunnat Per Amal Karte Hue Is Raat Halwa Khori Ki Jati Hai.. Yeh Woh Daleel Hai Jis Per Halwa Khoro Ki Poori Imarat Qayam hai...!!
Tareeqi Aitbar Se Bhi Ye Daleel Bebuniyad Hai.. Isliye Ke Ghazwa-e-Ohud Shawal 3 Hijri Main paish Aya Tha Na Ke Shahban Ke Mahine Main, yeh Kitni Khilafe Aqal Baat Hai ke Dandane Mubarak Maah Shawal Main Shaheed Hon Aur Halwa Khane Ki Sunnat Maah Shahban Main Ada Ki Jaye.. Woh Bhi Sirf Ek Din ? Aur Agar Sunnat Se Itni Mohabbat Hai To Pehle Dant Shaheed Karwain Phir Halwa Khaein..!!

Yeh Aqeeda Ke Roohe Wapas Aati hain Yeh Quran Kareem Ke Khilaf Aqeeda Hai marne Ke Baad Kisi Ki Rooh Dunia Main Wapas Nahin Aati hai ... Irshad-e-Rabbani Hai " Aur Inke Peeche Ek Parda Hai Us Din Tak Ke Woh Dubara Uthaye Jayein " ( Al-Momenoon 100) Yani ke ***** SWT ne Rooho Ke Dunia Main Ane Ke Raste Per Rok laga Rakhi Hai !!
Rasool ***** SWT Ka Irshad hai " Qayamat Ke Din Sabse Pehle Main Uthunga " ( Saheeh Bukhari 2412 , Saheeh Muslim 2374)
Ruhon Ke Dunia Main Wapas Ane Ka Aqeeda Butt Parasto Ka Aqeeda hai..!!

Yeh Hai is Raat Ki Haqeeqat Jiski Daleel Na Quran Main Hai Na Ahdees main Aur Na Hi Khulfaye Rashe Deen Ke Dour main ..! phir Hum Kyon Ek Aisi Baat Ke Peeche Lage Hue Hain Jo Deen Ka Hissa Nahin ? Alhamdolillah Hamara Deen Kamil Hai Rasool ***** Saw Deen Ki Har Baat Bata Kar Gaye Hain Gar Humne Itna Kar Liya Jitna Hamein Bataya Gaya Hai To Insha ***** Hamara ***** Hamse Razi Ho jayga..!!

Kisi Bhi Bidat Ko Chota Na Samjho Rasool ***** SAW ne Bidat Karne Wale Ko Kaha Hai Ke Woh Hum Main Se nahin ..!!
Farmaye Rasool SAW hai " Jisne Hamare Deen main Koee Nayee CHeez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Taulluq Nahin Hai Tu WOh Mardood Hai " (Saheeh Bukhari 2697)

Ek Aur Hadees Hai " Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahi Hai " (Abu'daud Kitab Al Sunnah 7064)

***** RabbulaAlameen Tamam Musalmano Ko Huq Baat Qabool Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye , Aur Bidat Aur Khurafat Se Mehfooz Rakhe... Aameen Ya RabbulAlameen



B.R.
.::skybird::.
 
The Following 4 Users Say Thank You to .::skybird::. For This Useful Post:
Show/Hide list of the thanked
Old 08-06-2009, 17:32   #2 (permalink)
No Life Poster
 
asad_nomy7's Avatar
 
Join Date: Aug 2007
Location: Pakistan
Posts: 2,306
Member: 570093
Status: Offline
Thanks Meter: 1,067
bro skybird first u break the offtopiczone rule "this is offtopic zone not for religious and not for politics thread".second here many muslims which Have(aqeeda)on SHAB-E-BARAAT.so here i quote the Admin ABOALI words for religion.

"Try to understand Religion is something completely Sensitive and Private.
any member is Free to think or believe in what ever he think is right.

We are GSM-FORUM !!, we are the wrong Place to talk or find information about Religion or Politic things,, so try to keep personal things away from GSM-forum"
i also against fireworks(aatish baze)because its HARAAM.some things wrongs but not from aalims this is from uneducated peoples who dont have knowledge of islam.and if u think(aqeeda) that SHAB-E-BARAAT have no reality so u are free and other who think SHAB-E-BARAAT is right they are also free.and we cant discuss about wrong and right here we only share good knowledge and things about Islam.plz next time dont share here (IKHTALAFEE) threads.
 
The Following User Says Thank You to asad_nomy7 For This Useful Post:
Old 08-06-2009, 18:02   #3 (permalink)
Freak Poster
 
SAHEB's Avatar
 
Join Date: Aug 2005
Location: india.
Age: 52
Posts: 245
Member: 173509
Status: Offline
Sonork: 100.1584320
Thanks Meter: 96
Angry

skybird,dont write again this type of lie if u dont know about truth,tum khud hi dalil dete ho aur khud hi khulasa bhi.
 
Old 08-06-2009, 18:27   #4 (permalink)
S_R
No Life Poster
 
Join Date: Aug 2004
Location: England
Posts: 618
Member: 77970
Status: Offline
Sonork: 100.123456
Thanks Meter: 1,110
Quote:
Originally Posted by SAHEB View Post
skybird,dont write again this type of lie if u dont know about truth,tum khud hi dalil dete ho aur khud hi khulasa bhi.
its perfectly correct and not bidah, wahabi deobandi salafi say sunni are wrong and infidels and we believe they are.

but where the heart believes and says its sunnis who are correct, because if you dont have love for prophet muhammad sall******o alaihe waalehi wassalam the most beloved of ***** and for whom the world was created and from his noor, then what existence does anything else in reality have?

Last edited by S_R; 08-06-2009 at 18:34.
 
The Following User Says Thank You to S_R For This Useful Post:
Old 08-06-2009, 18:39   #5 (permalink)
No Life Poster
 
Join Date: Oct 2006
Location: Jammu & Kashmir (India)
Posts: 713
Member: 367928
Status: Offline
Thanks Meter: 178
Al Haq Wa Zah'Qal Batil inna batil kana zahuka,

Bidah is bidah, and these two shabs (mehraj/barat) is big bidah in todays world, if ppl read carefully with authantic qutation then they will understand, but they read it but not for knowlodge they read for comments, brother says Love for Prophet (SAW), i know and it is faraz on us , but in the name of love u cannot create new things in relegin (bidah)

my request : please read it for knowledge, there r authantic quatation if u can then obey it if not no problem, (La iqra fidin)
 
The Following User Says Thank You to zargar322 For This Useful Post:
Old 08-06-2009, 18:45   #6 (permalink)
No Life Poster
 
Mobile Lab's Avatar
 
Join Date: Nov 2002
Location: D U B A I
Age: 45
Posts: 1,929
Member: 17651
Status: Offline
Sonork: 100.81230
Thanks Meter: 318
its not a problem to discuse about islam or religious .but
u need correct place to discuse .
you people have ur own good thinking and pointe of views
but wrong time wrong place .

search internet and put ur usefull information there.

Topic Close.

BR
 
The Following 3 Users Say Thank You to Mobile Lab For This Useful Post:
Show/Hide list of the thanked
Closed Thread

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~~~*~~~ The Perfect Solution To Solve "Insert SIM" In Nokia 6610 & 7210 ~~~*~~~ sallupat Nokia Hardware & Hardware Repair 19 05-30-2007 06:12
~~~ New "P800" Flashing Support, SonyEricsson Total Tool HEX, BFkey HEX for sale ~~~ nonu_don Main Sales Section 0 06-03-2003 17:47
~~~ SonyEricsson Total Tool 1.60 HEX/SCHEME for sale ~~~ nonu_don Main Sales Section 0 05-18-2003 10:24
hi~~all~~ i need T500 or S300 Flash~~ bugger VLSI, Conexant, Skyworks and Old Models 0 02-15-2003 13:19
~~ Check This Out ~~ ljmedic Main Sales Section 0 01-22-2003 20:10


All times are GMT +1. The time now is 14:38.



Powered by Searchlight © 2024 Axivo Inc.
vBulletin Optimisation provided by vB Optimise (Pro) - vBulletin Mods & Addons Copyright © 2024 DragonByte Technologies Ltd.
- GSM Hosting Ltd. - 1999-2023 -
Page generated in 0.29558 seconds with 9 queries

SEO by vBSEO